Eid Mubarak Shayari in Urdu: Heartfelt Verses for a Joyous Celebration

Table of Contents

Eid Mubarak Shayari is more than just a poetic expression; it’s a cultural heartbeat. During Eid, these verses become bridges connecting hearts, weaving emotions into words that linger long after the festivities end. Shayari Eid Mubarak captures the essence of joy, gratitude, and unity, transcending language barriers while staying rooted in Urdu’s lyrical beauty.

Shayari in Urdu thrives on its ability to evoke deep feelings, whether it’s the warmth of reunion or the ache of separation. Each couplet is a mirror, reflecting personal and collective memories tied to Eid. This tradition isn’t just about celebration; it’s a legacy passed down, evolving yet timeless.

As we delve into Eid Mubarak Shayari in Urdu, we’ll explore how these verses blend spirituality and artistry. From playful rhymes to soul-stirring metaphors, they paint Eid’s multifaceted spirit.

eid mubarak shayari in urdu

Celebrations in Eid Mubarak Shayari

Eid ka chaand tum ne dekh liya, chaand ki Eid ho gayi hogi.

Eid ka din hai, gale aaj to mil le zaalim,

rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai, dastoor bhi hai.

Tujh ko meri na mujhe teri khabar jaayegi,

Eid ab ke bhi dabe paon guzar jaayegi.

Hum ne tujhe dekha nahi, kya Eid manayein?

Jis ne tujhe dekha ho, usay Eid Mubarak.

Jis taraf tu hai, udhar hongi sab ki nazrein,

Eid ke chaand ka deedar bahaana hi sahi.

Eid aayi tum na aaye, kya maza hai Eid ka?

Eid hi to naam hai ek doosre ki deed ka.

Falak pe chaand sitaare nikalte hain har shab,

sitam yahi hai nikalta nahi hamara chaand.

Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khayal,

woh aasmaan ka chaand hai, tu mera chaand hai.

Mil ke hoti thi kabhi Eid bhi Diwali bhi,

ab ye haalat hai ki dar dar ke gale milte hain.

Us se milna to use Eid Mubarak kehna,

ye bhi kehna ki meri Eid Mubarak kar de.

Ae hawa tu hi use Eid Mubarak kahiyo,

aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai.

Kehte hain Eid hai aaj, apni bhi Eid hoti,

hum ko agar mayassar jaanan ki deed hoti.

Kehte hain Eid hai aaj, apni bhi Eid hoti,

hum ko agar mayassar jaanan ki deed hoti.

Jo log guzarte hain musalsal rah-e-dil se,

din Eid ka unko ho Mubarak tah-e-dil se.

eid mubarak shayari in urdu

Eid ka din hai, so kamre mein pada hoon ‘Aslam’,

apne darwaze ko baahar se muqaffal kar ke.

Mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz,

sheher mein Eid ki tareekh badal jaayegi.

Us meherbaan nazar ki inayat ka shukriya,

tohfa diya hai Eid pe humko judai ka.

Eid ke baad woh milne ke liye aaye hain,

Eid ka chaand nazar aane laga Eid ke baad.

Eid ab ke bhi gayi yunhi kisi ne na kaha,

ki tere yaar ko hum tujh se mila dete hain.

Sheher khaali hai, kise Eid Mubarak kahiye?

Chal diye chhod ke Makka bhi Madina wale.

Waadon hi pe har roz meri jaan na taal lo,

hai Eid ka din, ab to gale humko laga lo.

Dekha hilal-e-Eid to tum yaad aa gaye,

is mahviyat mein Eid hamari guzar gayi.

Aaj yaaron ko Mubarak ho ki subah-e-Eid hai,

raag hai, mai hai, chaman hai, dilruba hai, deed hai.

Eid tu aa ke mere jee ko jalaave afsos,

jis ke aane ki khushi ho woh na aaye afsos.

Mahak uthi hai fiza pairahan ki khushboo se,

chaman dilon ka khilane ko Eid aayi hai.

Hai Eid ka din aaj to lag jao gale se,

jaate ho kahaan jaan meri aa ke muqabil.

Eid ka din to hai magar ‘Jafar’, main akele to hans nahi sakta.

Haasil us mah-laqa ki deed nahin,

Eid hai aur hum ko Eid nahin.

Eid ka chaand jo dekha to tamanna lipti,

un se taqreeb-e-mulaqat ka rishta nikla.

Tu aaye to mujh ko bhi, Eid ka chaand dikhai de.

Abroo ka ishaara kiya tum ne to hui Eid,

ae jaan yahi hai Mah-e-Shawwal hamara.

Kisi ki yaad manane mein Eid guzregi,

so sheher-e-dil mein bahut door tak udaasi hai.

Aayi Eid, par dil mein nahi kuch hawa-e-Eid,

ae kaash mere paas tu aata bajaye Eid.

Raas aa jaatin humein bhi Eid ki khushiyan tamaam,

kaash tu bhi paas hota Eid ke lamhaat mein.

eid mubarak shayari in urdu

Eid ka din hai, gale mil lijiye, ikhtilaafaat hata kar rakhiye.

Eid mein Eid hui aish ka samaan dekha,

dekh kar chaand jo munh aap ka ae jaan dekha.

Lailatul-qadr hai har shab, use har roz hai Eid,

jis ne maikhane mein Mah-e-Ramzan dekha hai.

Wahan Eid kya, wahan deed kya,

jahan chaand raat na aayi ho.

Eid ko bhi woh nahi milte hain mujh se na milein,

ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi.

Hai Eid, maikhade ko chalo dekhta hai kaun,

shahd o shakar pe toot pade rozedaar aaj.

Jahan na apne azizon ki deed hoti hai,

zameen-e-hijr pe bhi koi Eid hoti hai.

Eid par masroor hain dono mian biwi bahut,

ek kharidari se pehle ek kharidari ke baad.

Khud to aaya nahin aur Eid chali aayi hai,

Eid ke roz mujhe yun na sataaye koi.

Shaam ke saaye balishton se naapey hain,

chaand ne kitni der laga di aane mein.

Main apne aap se rehta hoon door Eid ke din,

ek ajnabi sa takalluf naye libaas mein hai.

chhup gayā eid kā chāñd nikal kar der huī par jaane kyoñ
nazreñ ab tak Tikī huī haiñ masjid ke mīnāroñ par.

Dushman bhi aaj gale lagenge, Eid hai to sab kuchh bhool jaao!

Ek pal ke liye gussa bhool, Eid ke din bas mohabbat chun!

Tere naam ki chandni, Eid ke din sabse zyada chamakti hai!

Tere khayal se har roz hai Eid, phir kyun duur jaye hum!

Allah ke faisle par muskurana, Eid hai to sab kuchh samajh aata hai!

Chand dekhoon to bas ek dua, sabko Eid Mubarak ho jaye!

Conclusion

As we wrap up this soulful journey through 75+ Eid Mubarak Shayaris, we hope you found words that echoed your heart’s sentiments. Urdu poetry has the magical ability to articulate feelings that sometimes words cannot, and during a festival as heartfelt as Eid, it brings warmth and connection to our relationships.

Whether you shared these with a loved one far away or reflected upon them quietly, we hope they brought a smile to your heart. From the joy of reunion to the sorrow of separation, each Shayari in this collection is a reminder of the beauty of human emotions and the grace of the festival.

Let Eid be not just a day of feasting, but also a celebration of poetic thought and emotional expression. Spread the joy by sharing these verses with friends and family. May this Eid bring peace, happiness, and love to all. Eid Mubarak!

Related Shayari you may like

Scroll to Top